Carbohydrates आप का दोस्त या दुश्मन - Shocking Truth
Pro Fit Official Pro Fit Official
3.39M subscribers
1,157,329 views
33K

 Published On Oct 16, 2021

Hum jo bhi khate hain usme 4 trah ke macro nutrients paye jate hain
Protein ,fat, carbohydrates, or fiber

Protein ke bare me humne pehle hi video bna rakhi hai islie aaj ki ye video carbohydrates ke bare me hone wali hai...

Non veg ko chhor kr, ped paudhon se milne wale khane jaise ki
Har trah ki sabji, har trah ke fal, sukhe mewe, har trah ki dalen or har trah ke anaj me carbohydrates kuchh na kuchh matra me paya jata hai...ab kis khane ki chij me kitna carbohydrates hota hai ye to bad ki bat hai lekin sabse pehla sawal ye hai ki akhir carbohydrates hota kya hai...

Aasan bhase me kaha jaye to carbohydrates aapke sharir ka indhan hai jo aapke sharir ko chalane ka kam krta hai jis trah petro jalkr gadi ke engine ko takat deta hai usi trah khane se milne wala carbohydrates aapke sharir ko takat pradan krne ka kam krta hai...jis takat ko aap chalne firne or kisi kam ko krne me istemal krte hain...

Lekin hairan kr dene wali bat ye ki ek traf to khane se milne wala carbohydrates aapki zindagi ki gadi ko chalane ka kam krta hai or wahin dusri traf Heart attack, blood pressure, diebiteis, motapa, thyroid, pcod, hair fall, acne pimples, wakt se pehle chehre pe jhurriyan, skin se judi kai alag alag trah ki bimariya arthritis or yaha tk ki cancer jaisi gambhir bimaryon ke pichhe bhi carbohydrates ka ek bahot bada hath hota hai...

show more

Share/Embed