Nohay 2023 | Shahadat e Shahzada Ali Asghar | Syed Raza Abbas Zaidi | Muharram 1445 / 2023
Syed Raza Abbas Zaidi Syed Raza Abbas Zaidi
431K subscribers
142,580 views
0

 Published On Premiered Jul 22, 2023

Nohay 2023 | Shahadat e Shahzada Ali Asghar | Syed Raza Abbas Zaidi | Muharram 1445 / 2023

#syedrazaabbaszaidi #shahadateshahzadaaliasghar #nohay2023 #muharram2023

Kalam Title | Shahadat e Shahzada Ali Asghar
Recited By | Syed Raza Abbas Zaidi
Poetry By | Zeeshan Abidi
Composition | Syed Raza Abbas Zaidi
Chorus By | Rizwan Mirza & Team
Special Thanks | Naveed Zaidi (GFS Builders ) Navaid Raza , Muhammad Husnain , Zain Raza , Hunain Raza , Husnain Raza , Syed Taseer Raza , Sawant Ali , Zairek Ali
Translation | Akbar Hassan Jaffri
Video Editing | Tna Production Ali Arman
Label | RAZ Records
Degital Partner | MobiTising
Cover Design By | Yawar Abbas Damani
Audio Recorded | Hasaan Qurashi
Master/Mixing | Omar Qurashi ODS Studio
Album | 2023 / 1445 H
=======================
Nohay Links
➽ Janab e Hazrat e Abbas Ko Bulaya Karo
   • Nohay 2023 | Janab e Hazrat e Abbas K...  
➽ Roza Nahi Hussain Nazar Ayen
   • Nohay 2023 | Roza Nahi Hussain Nazar ...  
➽ Qatal Alamdar Hogaya
   • Nohay 2023 | Qatal Alamdar Hogaya | S...  
=======================
Follow US On Our Social Media Channels:
"Official Website"
➽ https://www.razaabbas.com
"Follow on Facebook"
➽   / syedrazaabbaszaidiofficial  
"Subscribe Youtube Channel"
➽    / syedrazaabbaszaidi  
"Follow on Instagram"
➽   / syedrazaabbaszaidi  
"Follow on Twitter"
➽   / razaabbaszaidi  
“Follow on SoundCloud’’
➽   / syedrazaabbaszaidiofficial  
=======================
NOHA LYRICS
=======================
Shah Jab Lasha e Beshaeer Ko Hathon Pe Leyay
Haye Maidan Se Khaimon Ke Taraf Jane Lagy
Rah Main Sath Qadam Agy Barhay Pechy Hatay
Apny Zanon Pe Phr Asghar Ka Janaza Rakh Ke

Kesy Shabbir Ne Dil Apna Sambhala Hoga
Teer Jab Gardan e Asghar Se Nikala Hoga

2) Khainch Kr Teer Phir Ek Bar Shah e Deen Chaly
Lash Uthaye Howy Jab Khaimay Ke Dar Per Pohnchaya
Parda Khaimay Ka Hataty Howy Kuch Dare Rukay
Yaad Jab Aye Sakina To Yay Keh Kr Paltay

Ghum Se Mar Jayege Jab Samny Ayege Behan
Bhai Ka Zakhmi Gala Dekh Na Payege Behan

3) Agaye Lasha Leyay Khaimon Ke Pechy Shah e Deen
Bolay Asghar Ke Taraf Dekh Ke aye Mery Haseen
Kash Ke Hum Bhe Tere Sath He Mar Jaty Wahe
Haye Itna To Tujhe Teer Ne Bhe Mara Nahi

Run Main Mara Hai Tujhe Garm Hawa Ne Jitna
Moun Khula Reh Gaya Pyasa Tha Na Jane Kitna

4) Shiddat e Dhop Wo Sehra Ke Tapish Loo Ke Chubhan
Qabar Talwar Se Jab Khod Chukay Shah e Zaman
Ro Ke Kehny Lagy Phela Ke Abba Ka Daman
Kahn Yay Jalti Zameen Aur Kahn Nazuk Sa Badan

Kabhe Choma Kabhe Sene Se Lagaya Lasha
Baap Ne Qabar Main Rakh Rakh Ke Uthaya Lasha

5) Ya Ali Keh ke Jo Phir Qabar Main Lasha Rakha
Maa Na Ajaye Kaye Bar Yay Uth Kr Dekha
Paon Ke Simt Se Tadfeen Ka Aghar Keya
Tan Chupaty Howy Jab Hath Galy Tak Pohncha

Bosa Besheer Ke Gardan Ka Bari Dare Leya
Khak Main Chahra Chupaty Howy Moun Pher Leya

6) Sar Charhaye Gaye Jab Naizon Pe Ak Sar Na Mila
Khak Main Naiza Garhaty Howy Zalim Nikla
Dhondty Dhondty Wo Khaimay Ke Pechy Pohncha
Mar Kar Neza Jo Khaincha To Badan Sath Aya

Run Main Jab Umme Rubab Aye Yay Manzar Dekha
Apny Bachy Ka Badan Nok e Sina Per Dekha

8) Haye Zeeshan O Raza Zulm Yahn Bhe Na Ruka
Jab Taraptay Howy Beeshir Ke Maa Ko Dekha
Usne Naizay Se Badan Khainch Ke Matti Pe Rakha
Samny Maa Ke Gala Kat Deya Asghar Ka

Yay Laien Jane Ya Maa Jane Ya Jane Asghar
Neza Us Sar Main Peroya Tha Ya Phir Naizay Main Sar
=======================
Copyright strictly prohibited
© Copyright Information:
• All Rights of Nauhas, artwork, logo, audio & video are reserved by RAZ Records .

show more

Share/Embed