Ek Pyar Ka Nagma Hai Song | Sanam | Lyrics | Full Song
All time Music All time Music
102K subscribers
5,537 views
70

 Published On Sep 27, 2021

#SanamPuri#AlltimeMusic

Song credit

Song – Ek Pyar Ka Nagma
Singers – Sanam
Guitars – Samar Puri
Bass – Venky S
Drums – Keshav Dhanraj

___________________________________________________

Song lyrics

Maujon ki rawaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahi
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Kuchh paa kar khona hai
Kuchh kho kar pana hai
Jeevan ka matlab to
Aana aur jaana hai

Do pal ke jeevan se
Ek umra churani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahi



Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai
Tu dhaar hai nadiya ki
Main tera kinara hoon
Tu mera sahara hai
Main tera sahara hoon

Aakhon mein samandar hai
Aashaon ka paani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahi
Teri meri kahaani hai
Ek pyar ka nagma hai

Toofan ko aana hai
Aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuchh pal ka
Chha kar dhal jaana hai
Parchhaiyan reh jaati
Reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahi
Teri meri kahaani hai

Ek pyar ka nagma hai
Maujon ki rawaani hai
Zindagi aur kuchh bhi nahi
Teri meri kahaani hai
Teri meri kahaani hai
Teri meri kahaani hai
____________________________________________________

Please support
Like 👍
Share 🙏
Subscribe 👆

Original Music label- Saregama

show more

Share/Embed