Mere Mahadev | Kashinath EP | Narci | Aaradhya Sharma | Hindi Rap 2024
BEATGIRL4U BEATGIRL4U
15K subscribers
22 views
1

 Published On Jul 28, 2024

Song: Mere Mahadev
Rap Artist: Narci
Singer: Aaradhya Sharma
Lyrics & Composition: Narci
Flutist: Pankaj
Music, Mixing & Mastering: Xzeus
Artwork & Visuals: iKillGraphix

ABOUT KASHINATH EP ( this EP, all three songs have been composed using Kashi's references. All three songs will create a powerful devotional bridge between Lord Shiva and the devotees. As we all know that the land of Kashi has the special blessings of Lord Shiva, so it is my endeavour to take you all on a musical and devotional tour of Kashi through this EP.

ABOUT 'MERE MAHADEV' TRACK/SONG
This is an emotional song from this EP. This song depicts the emotional bond between a devotee and his beloved. You will feel in this song how a person connects with his beloved in a broken state. No matter how strong a person is, when he starts getting defeated by the circumstances and the wrong ways of the world, only God sees his/her broken faith.

LYRICS
[Aaradhya Sharma]
Mahadev, Mahadev
Mahadev, Mahadev
Mahadev, Mahadev
Mahadev, Mahadev

Tori nagri mein ghumun main toota sa, main rootha sa
Main haara sa, main bechaara haan
Tori nagri mein ghumun main toota sa, main rootha sa
Main haara sa, main bechaara haan

Tumse rakhunga main kya hi haan bhed
Tumse hi saanjha kiye saare hi khed
Aaj main toota hoon le zara dekh

Hey Mahadev, hey Mahadev
Hey Mahadev, hey Mahadev

[Narci]
Wajah bata do prabhu mujhe mili peeda ki
Wajah bata do kyun hai bhaari pada seena bhi?
Chhalon se door raha daas tera prabhu aur
Kisi bhi hrdy ko na jhoothon se hai peeda di
Nyaay paane ko main ab bhi bhi dhoondun raaste
Hasi lautaaoge main baitha isi aas mein
Hrdy ye sheet hua jaise haan Kailash ke
Mere prabhu kahin ho na jaaun laash main
Kehne ko likhun main ye gaane prabhu raat bhar
Gaane mein chhupe mere prabhu waise ghaav har
Ghaavon mein chhupi sau baatein hai santaap ki
Sau baaton ko le jaana hai Kailash tak
Aap hi ne prabhu meri bhaari peeda jaanchi
Le lo mere praan maut aap hi ki daasi
Tika hai bharosa mera tum pe aise prabhu
Jaise haan trishul pe ye tiki teri Kashi

[Aaradhya Sharma]
Tori nagri mein ghumun main toota sa, main rootha sa
Main haara sa, main bechaara haan
Tori nagri mein ghumun main toota sa, main rootha sa
Main haara sa, main bechaara haan

Tumse rakhunga main kya hi haan bhed?
Tumse hi saanjha kiye saare hi khed
Aaj main toota hoon le zara dekh

Hey Mahadev, hey Mahadev
Hey Mahadev, hey Mahadev

[Narci]
Chali gam ki hawayein mujhe kheenche ye
Kabhi logon ki duaayein mujhe kheenche ye
Jab bhi main sochu ye peeda ko aaram mile
Jalti ghaat chitaayein mujhe kheenche ye
Dil ke sukoon ko bhi logon ne hi chheena hai
Dil kyun na sehame pehle dekho chheela seena ye
Teri kasauti ko main kaise karun paar prabhu?
Peeda ye sehne ki meri bhi to seema hai
Meri bhi seema hai, main bhi to daas tera
Rota ye dil bola dedo haan saath mera
Duniya ye karti poori do hi kadam ki doori
Umar ye beeti par na bana koi khaas mera
Aap hi ne prabhu meri bhaari peeda jaanchi
Le lo mere praan maut aap hi ki daasi
Tika hai bharosa mera tum pe aise prabhu
Jaise haan trishul pe ye tiki teri Kashi

[Aaradhya Sharma]
Tori nagri mein ghumun main toota sa, main rootha sa
Main haara sa, main bechaara haan
Tori nagri mein ghumun main toota sa, main rootha sa
Main haara sa, main bechaara haan

[Narci]
Aap hi ne prabhu meri bhaari peeda jaanchi
Le lo mere praan maut aap hi ki daasi
Tika hai bharosa mera tum pe aise prabhu
Jaise haan trishul pe ye tiki teri Kashi

Aap hi ne prabhu meri bhaari peeda jaanchi
Le lo mere praan maut aap hi ki daasi
Tika hai bharosa mera tum pe aise prabhu
Jaise haan trishul pe ye tiki teri Kashi

[Aaradhya Sharma]
Tumse rakhunga main kya hi haan bhed?
Tumse hi saanjha kiye saare hi khed
Aaj main toota hoon le zara dekh

Hey Mahadev, hey Mahadev
Hey Mahadev, hey Mahadev

#harharmahadev #bhaktisong #hindirap

show more

Share/Embed