KHIZAR-E-RAH | Allama iqbal | Urdu Poetry | Motivational Poetry | Islamic Poetry | Iqbaliyat Status
Allamaiqqbal Allamaiqqbal
131K subscribers
63,012 views
1.5K

 Published On May 29, 2021

KHIZAR-E-RAH خضر راہ | Allama iqbal Poetry | Urdu poetry | Kalam-e-iqbal explanation | iqbaliyat | 2 lines Urdu Poetry | Motivational Poetry | ISlamic Poetry | Urdu ghazal | Sad Ghazal | Best Urdu Poetry | Status Poetry | Whatsapp sad status

follow us for kalam-iqbal urdu explanation ::

  / allamaiqqbal  
  / allamaiqqbal  

visit our blog ::
https://www.allamaiqqbal.blogspot.com
.............................................
Bang-e-Dra-161

Khizar-e-Rah
خضر راہ

Khizr The Guide

شاعر
Shayar
THE POET

Kyun Taajub Hai Meri Sehra Nawardi Par Tujhe
Ye Taga Pooye Dama Dam Zindagi Ki Hai Daleel

Aag Hai, Aulad-E-Ibraheem (A.S.) Hai, Namrood Hai
Kya Kisi Ko Phir Kisi Ka Imtihaan Maqsood Hai !

جوابِ خضر
Jawab-e-Khizar
KHIZR’S REPLY

زندگی
Zindagi
LIFE

Bartar Az Andesha’ay Sood-O-Ziyan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabhi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi

Apni Dunya Ap Paida Kar Agar Zindon Mein Hai
Sirr-E-Adam Hai, Zameer-E-Kun Fikan Hai Zindagi

Ho Sadaqat Ke Liye Jis Dil Mein Marne Ki Tarap
Pehle Apne Paikar-E-Khaki Mein Jaan Paida Kare

Ye Ghari Mehshar Ki Hai, Tu Arsa’ay Mehshar Mein Hai
Paish Kar Ghafil, Amal Koi Agar Daftar Mein Hai !

سلطنت
Saltanat
The State

Aa Bataon Tujh Ko Ramz-E-Aaya-E-INNAL MULOOK
Saltanat Aqwam-E-Ghalib Ki Hai Ek Jadoogari

Khoon-E-Israel Aa Jata Hai Akhir Josh Mein
Torh Deta Hai Koi Musa (A.S.) Tilism-E-Samri

Sarwari Zaiba Faqat Uss Zaat-E-Be Hamta Ko Hai
Hukamran Hai Ek Wohi, Baqi Bootan-E-Azri

سرمایہ و محنت
Sarmaya-O-Mehnat
Capital and Labour

Banda’ay Mazdoor Ko Ja Kar Mera Pegham De
Khizar Ka Pegham Kya, Hai Ye Peyam-E-Kainat

Ae Ke Tujh Ko Kha Gya Sarmayadar-E-Heela Gar
Shakh-E-Aahu Par Rahi Sadiyon Talak Teri Barat

Nasal, Qoumiat, Kalisa, Saltanat, Tehzeeb, Rang
Khawajgi Ne Khoob Chun Chun Ke Banaye Muskirat

Kya Sunata Hai Mujhe Turk-O-Arabki Dastan
Mujh Se Kuch Pinhan Nahin Islamiyon Ka Souz-O-Saaz

Le Gye Taslees Ke Farzand Meeras-E-Khalil (A.S.)
Khisht-E-Bunyad-E-Kalisa Ban Gyi Khak-E-Hijaz

Ho Gyi Ruswa Zamane Mein Kulah-E-Lala Rang
Jo Sarapa Naz The, Hain Aaj Majboor-E-Niaz

Hikmat-E-Maghrib Se Millat Ki Ye Kaifiyat Huwi
Tukre Tukre Jis Tarah Sone Ko Kar Deta Hai Gaaz

Ho Gya Manind-E-Aab Arzaan Musalman Ka Lahoo
Muztarib Hai Tu Ke Tera Dil Nahin Dana’ay Raaz

Mulk Haathon Se Gya Millat Ki Aankhain Khul Gayin
Haq Tera Chashme Atta Kar Dast Ghafil Dar Nagar

Aik Hon Muslim Haram Ki Pasbani Ke Liye
Neel Ke Sahil Se Le Kar Ta Bakhak-e-Kashghar

Ta Khilafat Ki Bina Dunya Mein Ho Phir Ustawar
La Kahin Se Dhoond Kar Aslaaf Ka Qalb-O-Jigar

#Allamaiqbal #urdupoetry #KHIZR_E_RAH #Poetry #Kalam_E_IQBAL #BANG_E_DRA
.............................................

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

show more

Share/Embed