Mir Taqi Mir's RARE Ghazal (with English Translation) Meer Taqi Meer Ghazal
Waxing Poetic اردو Waxing Poetic اردو
1.39K subscribers
578 views
27

 Published On May 9, 2023

Urdu Poet: Meer Taqi Meer (Mir Taqi Mir, میر تقی میر)
Ghazal: Kya Kahey Haal Kaheen Dilzada Ja Ker Apna

Urdu ghazal, Mir Taqi Mir Poetry

کیا کہے حال کہیں دل زدہ جا کر اپنا
دل نہ اپنا ہے محبت میں نہ دلبر اپنا

دوریٔ یار میں ہے حال دل ابتر اپنا
ہم کو سو کوس سے آتا ہے نظر گھر اپنا

یک گھڑی صاف نہیں ہم سے ہوا یار کبھی
دل بھی جوں شیشۂ ساعت ہے مکدر اپنا

ہر طرف آئنہ داری میں ہے اس کے رو کی
شوق سے دیکھیے منہ ہووے ہے کیدھر اپنا

کس طرح حرف ہو ناصح کا موثر ہم میں
سختیاں کھینچتے ہی دل ہوا پتھر اپنا

کیسی رسوائی ہوئی عشق میں کیا نقل کریں
شہر و قصبات میں مذکور ہے گھر گھر اپنا

تجھ سے بے مہر کے لگ لگنے نہ دیتے ہرگز
زور چلتا کچھ اگر چاہ میں دل پر اپنا

پیش کچھ آؤ یہیں ہم تو ہیں ہر صورت سے
مثل آئینہ نہیں چھوڑتے ہم گھر اپنا

دل بہت کھینچتی ہے یار کے کوچے کی زمیں
لوہو اس خاک پہ گرنا ہے مقرر اپنا

میرؔ خط بھیجے پر اب رنگ اڑا جاتا ہے
کہ کہاں بیٹھے کدھر جاوے کبوتر اپنا

Ghazal text in description: Rekhta
https://www.rekhta.org
‪@RekhtaOfficial‬

kyā kahe haal kahīñ dil-zada jā kar apnā
dil na apnā hai mohabbat meñ na dilbar apnā

dūrī-e-yār meñ hai hāl-e-dil abtar apnā
ham ko sau kos se aatā hai nazar ghar apnā

yak ghaḌī saaf nahīñ ham se huā yaar kabhī
dil bhī juuñ shīsha-e-sā.at hai mukaddar apnā

har taraf ā.ina-dārī meñ hai us ke rū kī
shauq se dekhiye muñh hove hai kīdhar apnā

kis tarah harf ho nāseh kā muassir ham meñ
saḳhtiyāñ khīñchte hī dil huā patthar apnā

kaisī rusvā.ī huī ishq meñ kyā naql kareñ
shahr-o-qasbāt meñ mazkūr hai ghar ghar apnā

tujh se be-mehr ke lag lagne na dete hargiz
zor chaltā kuchh agar chaah meñ dil par apnā

pesh kuchh aao yahīñ ham to haiñ har sūrat se
misl-e-ā.īna nahīñ chhoḌte ham ghar apnā

dil bahut khīñchtī hai yaar ke kūche kī zamīñ
lohū us ḳhaak pe girnā hai muqarrar apnā

'mīr' ḳhat bheje par ab rang uḌā jaatā hai
ki kahāñ baiThe kidhar jaave kabūtar apnā

#mirtaqimir #meertaqimeer #rekhta #rekhtashayari #rekhtashayari

© Waxing Poetic اردو

show more

Share/Embed